Sunday 17 February 2013

humsafar....(random thoughts)





sath jo in raatso pe chal rahe hai hum...
kab kya pata yeh naya mod le...
kab kya pta koi rishta naya jod le....
safar hi yeh hai jindgi meri......
manzil kya hogi kisko kya pata....

inhi rasto pe kahin ...
thahre kahin thandi chaon me.....
do pal sukoon k sath me bitane k liye...
aur wo pal yaado ke kafile me shirkat kar gaye...
ab har kadm hai wo yado ka saaya aur saath chalta hua humsafar....

par ku jaroorat hai yaado ki yeh baat aaj tak ni samajh paaya hu mai......
ya shayd kabhi samajh bhi na paau...
par gum nahi hai muje aab aaj kisi baat ka kuki...
.un yaado me toh mai hamesha hi khush hu apne uss humsafar k saath....
uski khawsih or hasarato ke darmiyan.....


                  -vivek

No comments:

Post a Comment