Wednesday 23 January 2013

SOCH RAHA THA JAANE KYA...




Ool jalulsa ek samandar ,bin lafzo ka ek bavandar…
Man gote khata uske andar, soch raha hai jaane kya..

Jeevan beeta koshish me ..jevan beeta faroshish me…
Beeta jeevan jaane kahan …mai soch raha tha jaane kya…

Kitni ki koshish ..sab ko samjhau.....Kitni ki koshish mai kuch keh jaau…
par jaise roke koi andar ...ku tod raha saare armaa...
mai soch raha tha jaane kya..

Thak haar ke jab fir chuppi saadhi…..maun kardi jindgi aadhi..
ghaav laga tha dil pe gehra. …mai jaane kya tha soch raha….

Badal gaya  khush sab ko dekhu.,,,.badla gaya ab kitna roku..
Chod diye armaan wo saare…..bhula diye wo lamhe pyaare
Bas dekh raha hu mila hai kya….kaun hai mera mai hu kiska..
chod ladai sanso ki. jaane kya tha soch raha ....jaane kya tha soch raha...

                                                   -VIVEK

No comments:

Post a Comment